Tahajjud ka bare main hadees pak ha . hazrate abu huraira razi Allah talah anho se rewayat ha k . rasool pak salal laho allai wasalam ny farmaya . hamara malik or rab wa talah her raat ko jis waquat akhre tehahe raat baki rah jate ha . sama e duniya ki taraf nazool farmata ha . or irshad farmata ha . kon ha jo mujh se dua kareen or main is ki dua kabool karo . kon ha jo mujh se mangay main is ko atah karoon kon ha jo mujh se magfirat or bakshes chahe main is ko bakash do.
Is hadees pak se yeah sabit hota ha . k Allah talah roz raat ka tahahe waquat main sama e dunia ki taraf nazool farmate ha or ahsa waquat main agar dua mangi jahe to dua kabool hote ha . tahajjud ko daily ka rotine bana na ka sab se behtareen tareeqa yeah ha k fajir ki namaz se 15 minute pehla ka alaram laga lay apni ghari main takka app wazu kar k aram se tahajjud parleen or tahajudd parna ka baad app fajir ki namaz be parleen ahsa karna se app ka daily ka tahajjud ka mamool ban jahe ga
Dua main yaad rakheya ga
Amel soname
Amel_soname@yahoo.com

27 comments:
SUBHAN ALLAH
thnx brother Allah apko ajar dy aaman.
you doing great job God bless you.
tahajjud shuro hone ka waqt kia hai? 12 ya 1 ya koi aur?
shuru hone ka time kia hai?
Please tell me ke tahajud namaz ada karne ke liye phle sona jarori he kya?
Iska jo bhe masala ho please jaror bataiye.
Bhai Tahajjud parhnay ka tareeqa phi btadain
toh kya tahajud jaag kar padi ja skti hai .. ya phir ek neend lena zaroori hai
subhanallah
Isha ki namaz ke baad par ek neend so kar padhe
Ek neend sona zarori hai
Dears Tahajjud ka time subha sadiq tak hota hai....
and tariqa kuch nahe nafil namaz hai kam sai kam 2 rikaat...
aur sokar uthen phir parhen...
Shukria...
ji han tahajud isha ki namaz ki bad ek neend layker hi padna chahiye yeh namaz fajar se ek ghanta pehle ada karli toh aur bhi achcha hota hai , iski bad ap kuch bhi ebadad fajar tak ada karli take ap ki fajar ki namaz na chute aur phir fajar ada karey ,
Subhanallah....
Salam walaikum,
You are Doing a grat job bro.
subanallah
TAHUJJAD KE NAMAZ KI FAZILIYAT HAMARE NEEND KO MAR SAKTI HAI..........
umda salah.
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
Mere Bhaiyon Deen ke maamlen me kuch bhi masala ho guzarish hai ke Aaleem / Mufti Sahab se maalumat karen. aur duniya ke bareme me bhi Advice lijiye.
Jazakallah.
As salam o alikum,good r hum sab mil kar hi sab ki islah kar sakte hai jo hum karte rehnge INSHALLHA.
Allah tala tamam muslmano ko TAHUJJAD namaz or 5 waqt ke namaz parne ke tofeq ata farmai .amin summa amin
Assalamalaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatahu,
Mujhe ye janna hai agr me 4 bje ka alarm laga k sota hu tahajud ki namaz k liye, lekin meri ankh 2 bje khul gai lekn me wapas sogaya or 4 bje alrm bajne par uth kr namaz padha toh ye jayaz hai ya nhi, plz rply...
Thanks Amel Soname, Allah tala aapko har waqt khush rakhey..aamin
assalamallaikum,,,,,,,,,,,,,issey padkar muje bahut khosi hovi,,
mashaallah
mashaallah
Post a Comment